Table of Contents
Alone shayari
Fisal Jayenge Kabhi To
Pass mere tujhe kal,
Layenge kabhi to,
Guzre wo pal haseen yaad,
Aayenge kabhi jo,
Hu akela bas akela,
Aur aage kya kahu ab,
Aaj dil se hu tere utra,
Dheere-dheere dil mein,
Tere utar jayenge kabhi to,
Mujhse aake mil lo na,
Dekho dard hota hai,
Saanse yun chuban meri,
Jaise karz hota hai,
Musalsal ye aandhiyan,
Roz aati hai baarishein,
Teri baho mein bikhar kar,
Bheeg jayenge kabhi to.
Ek gham ka zakhm kyu bharta nahi,
Khushiyo ke mere sajde,
Koi karta nahi,
Bin tere maine hardam,
Marne ki dua kari,
Badnaseebi se hu zinda,
Khuda bhi kuch sunta nahi,
Ab na hoga kaise sahu main ‘Abhishek’,
Aankho mein aansu jo ruke hai,
Fisal jayenge kabhi to.
Uth Ke Kadam Mere
Uth ke kadam mere,
Khud-wa-khud unke ghar gaye,
Pehchan ke aahatein mere,
Kadmo ki wo dar gaye,
Jala rahe the meri koi,
Wo tasveer bachi purani,
Aankho mein manzar, dil ka sisakna,
Kapte hotn us pal ke mere,
Aankho mein manzar, dil ka sisakna,
Kapte hotn us pal ke mere,
Dekh k itni nafrat,
Halaat to aur bigad gaye,
Ab unse kehte bhi kya,
Aur zindagi jeete bhi kya,
Jin saanso mein unki,
Jaan basa karti thi,
Ro ro ke jism se na juda Karte,
To karte bhi kya?
So yun hua phir ‘Abhishek’ dehleez pe uski,
Uski khushi mein,
Khud khushi se mar gaye.
Kehti Hai Saheliyo Se
Kehti hai saheliyo se,
Ab main nazar nahi aata,
Ha ye sach hai,
Main udhar ni aata,
Gunah ye hai ki toot ke,
Mohabbat karli tujhse ‘Abhishek’,
Badkismati ye ki bigda,
Haal sanwar kyu nahi jata.
Kya Bacha Main hi Ek Rasta Hu
Kone mein bethkar teri,
Chahat ko tarasta hu,
Ab koi pyar se bole to,
Uspe barasta hu,
Logo ki zuban pe tera naam kaisa,
Isi bechaini mein,
Har waqt tadapta hu,
Dard mujhpe hi kyu guzarte hai ‘Abhishek’,
Dard mujhpe hi kyu guzarte hai ‘Abhishek’,
Kya bacha main hi ek rasta hu.
Maloom Na Tha
Mujhse muqabla mera yaar karega,
Maloom na tha,
Sirfira dushman banke yaar pe baar karega,
Maloom na tha,
kitni mohabbat se rakha tha,
Zamane se ladne ke liye jo,
Wohi hathiyar mujh pe chalega,
Maloom na tha,
Teri god mein marta to bhi,
Jannat mein jata,
Tujhse marunga to bhi,
Jannat nasseb hogi,
Par tu itna gir jayega ki,
Jaan lega meri sar-e-bazaar ‘Abhishek’,
Maloom na tha.
Kya Hota Hai?
Hum kya bataye,
Pyar kya hota hai?
Mayane-e-lafz aitbaar,
Kya hota hai?
Tooti hui murat ki pooja,
Kaha hoti hai?
Kisi ke rab hone ka qaraar,
Kya hota hai?
Veerane khandar mein koi,
Aashiyana banata nahi ‘Abhishek’,
Hum bekhabar hai,
Mausam-e-bahaar kya hota hai?
Shayari akelapan, lonely shayari image,lonely shayari in english,sad lonely shayari,lonely shayari in hindi,alone shayari attitude,leave me alone shayari in hindi,alone shayari pic,alone shayari in bengali,sad shayari alone boy,shayari alone girl,feeling alone shayari in hindi,alone status shayari,sad alone shayari in english,attitude alone shayari,alone sad shayari pic,alone boy sad shayari,shayari in hindi alone,alone shayari in punjabi,alone pic shayari,sad alone girl shayari in hindi
Ache Nahi Hote
Mohalle mohabbat ke,
Ache nahi hote,
ye dil ke rishte,
Ache nahi hote,
Zindagi mein kisi ke,
Bahut kareeb mat jana,
Suna hai hijar ke qisse,
Ache nahi hote,,
Sajdo mein bhi tum uski,
Yaad mein rahoge phir,
Is tarah ke hisse,
Ache nahi hote,
Jo sachchai thi,
Maine tumhe bhi bata di ‘Abhishek’,
Ab tum bhi logo se kehna,
Mere mashware ache nahi hote.
Tu Mere Ashqo Mein Hai
Mehfil ki baato ke,
Beech mein kisi ne puch liya, wo kaha hai?
Meri aankhein num hui,
To sab samajh gaye ‘Abhishek’,
Tu mere ashqo mein hai.
‘Abhishek’ Ko Wafa Na Mili
Jab zamane ko meri,
Koi khata na mili,
Kaha haqiqat mein
‘Abhishek’ ko wafa na mili,
Tujhse bichad ke jana,
Maine apna ghar jala diya,
Mujh musafir ko kahi phir,
Therne ki jagah na mili,
Kehne ko to raaste mein,
Maile bhi the pariya bhi thi,
Tere jaise bhi the,
Par tu to nahi tha,
Isliye meri bhi kisi se,
Ruk kar nigah na mili,
Ab ise badkismati kahu,
Ya kahu phir khushnaseebi,
Be-sudh hu,
Sab kiya par,
Teri yaad se riha na mili.
Teri Yaado Ki Dhoop Mein
Teri yaado ki dhoop mein,
Jhulas raha hu,
Pyas mitane ko pass,
Mohabbat ka pani, bhi nahi,
Tadap-tadap ke to,
Mar raha hu judai mein,
Zindagi jeene nahi de rahi,
Maut aani bhi nahi,
Ke tumhe aankh bhar ke dekhu,
To dekhu to kaise,
Ab tumpe mera kaha haq hai?
Ab tum to meri deewani bhi nahi,
Bahar se chup aur dil mein,
Kaise cheek ke rota hu tere bin?
Lafzo se kya baya karu,
Ab tu is baat se anjani bhi nahi,
Us din ajeeb pagalpan tha us ke upar,
Ye lo apne tohfe aur,
Lautao meri cheeze,
Jane ke baad uske jab maine,
Ghar se dil tak tatola,
Galti se chohdi usne,
Koi nishani bhi nahi,
Kya bahaar, kya hai pyar?
Kya ghata, kya barishein?
jana tere sang tha,
Jo tha, wo tha, wohi tha,
Haqeeqat mein mere liye,
Ab rutein suhani bhi nahi,
Jo lakho ki bheed mein,
Akela pehchanta tha shakhs mujhe,
Jo lakho ki bheed mein,
Akela pehchanta tha shakhs mujhe,
Usne akeli tasveer tak meri,
Pehchanni bhi nahi,
Tu mujh pe sitam kar,
Bahut kar itna kar ki,
Dil na bhare to aur kar,
Tujhe apna mana hai,
So teri baat girani bhi nahi,
Kya kahe logo se jo tujhe,
Bewafa kehte hai,
Teri safai mein mujh pe koi,
Jhooti kahani bhi nahi,
Tum me koi mohabbat ka toota,
Mere jaisa hai ‘Abhishek’,
So tumhe haal-e-dil keh baithe,
Hume zalimo ko ye baat,
Batani bhi nahi.
Must Read