Table of Contents
Bewafa Dard Bhari Shayari
Chalo Ye Bhi Sahi Hai
Uski mujhse doori, chalo ye bhi sahi hai,
Hai mohabbat adhoori, chalo ye bhi sahi hai,
Lamhe bhari hai in chalti saanso ke,
Hai gham zaroori, chalo ye bhi sahi hai,
Uski khamoshi ne mere alfazo k gala ghot dala,
Hai sehna majboori, chalo ye bhi sahi hai,
Uski dehleez ko chu kar chala aata hu, jaise usko chu liya ho,
Hai meri kamzoori, chalo ye bhi sahi hai,
Mujh bekasoor ka koi waqeel tak nahi uski adalat mein ‘Abhishek’,
Hai saza puri, chalo ye bhi sahi hai.
Khushiyo Ka Samaundar
Khushiyo ka samaundar baha laya, mujhe ghamo ke kinaro pe,
Gira to mar hi gaya main, bahut upar chad chuka tha ishq ki minaro pe,
Bas adhoora pan khatam hi tha agar wo sath ka marham lagata aur,
Afsoos wo la ke chod gaya mujhe sulaghte angaaro pe,
Kuch dhundhla sa nazar aa raha tha door se mujhe,
Kareeb aaya to phir logo k sawalo se na bach paya ‘Abhishek’,
Wo meri jhooti, bewafai k qisse, likh gaya tha, shehar ki deewaro pe.
Mohabbat Ka Dhang Nahi
Chum liya dehleez ko uski, aur sir ko jhuka aaya,
Dehleez unki khuda ke dar se kam nahi,
Rehta hai rab sath jaise, hai wo bhi sath waise,
Bhale log kitna bhi kahe wo sang nahi,
Meri baato ko betuka kehne walo,
Tum me ‘Abhishek’ abhi mohabbat ka dhang nahi.
Mujhe Gair Kar Diya
Be-baat phir ek pal mein sab dher kar diya,
Jitni kareebi se sath raha wo mere,
Usse zyada mujhe gair kar diya,
Munasib samjha usne fasla mujhse aur sath chutta baitha,
Nasamajh, Main to sirf tera hu, tune ye kya kar diya,
Khair mohabbat to tujhse hi hai,
Baat alag, tu badal gaya,
Main kisi aur na nahi ho sakta ‘Abhishek’,
Afsoos! tujhe jo karna tha kar diya.
Dil Tumhari Zid Pe
Dil tumhari zid pe main, phir ye gunah karu,
Aankhein rulake intezar, uska shaam-o-subah karu,
Kabhi-kabhi to hota hai,
Dil teri is zid ke liye tujhe khud se juda kardu,
Lekin main uski tarah nahi ‘Abhishek’
Jo apno ko tabah karu.
Aag Kahi Bhi Lage
Aag kahi bhi lage ilzaam hum par hai,
Bacha faqat yahi kaam hum par hai,
Uska naam koi nahi leta sab uske tarafdaar,
Bewafai ka na jane kon sa nisaan hum par hai,
Berukhi, bewafai, be-wajah ki narazi ke teer,
Unhone humpe chode ‘Abhishek’,
Logo ke gunahgaar yun ban baithe, ke kamaan hum par hai.
Is Be-Rukhi Mein
Is be-rukhi mein ab jeena kise hai,
Kitna behtar ho jaam pyar ka, peena kise hai,
Saalo saal sath dekha har kisi ne hume,
Kab chohd gaya mujhe, pata wo mahina kise hai,
Jiski aankho ke aansu ko,
Labo ki hasi mein badala hardam,
Jinke labo pe aakar,
Kamina bhi kya haseen ho jata tha,
Yaad wo pagal, wo deewana, wo kamina kise hai,
Chodo ‘Abhishek’ is be-rukhi mein ab jeena kise hai.
Uska Sath Jab Choota
Talluq toot’ta to phir kabhi jud nahi paya,
Jo rahi sath tha, uska sath jab choota,
To kabhi wo mud nahi paya,
Do kadam pe manzil thi aur main lachaar itna ki,
Ishq ke pankh huye zakhmi kabhi main ud nahi paya,
Ek adhoori mohabbat mere naam ki bhi darz hai ‘Abhishek’,
Maaf karna ishq mujhse ye daag dhul nahi paya.
Kaha Koi Aayega
Mujhe baato se jalane ab har koi aayega,
Sabko pata hai mujhe bachane, kaha koi aayega,
Lagta hai shayad use mera naam bhi yaad na ho,
To adhoore wade nibhane, kaha koi aayega,
Din ki jhooti hasi ke baad, rooth jata hu raat ki neendo se,
Aur kisi se ummeed nahi, manane kaha koi aayega,
Khawaish hai dekhu kya pehli si rachti hai,
Mehndi unke hatho mein,
Afsoos! ‘Abhishek’ wo hath wo mehndi dikhane, kaha koi aayega.
Main Kyu Zakhmi Hota
Kehte hai log Auro ko bacha le us bewafa se ‘Abhishek’,
Agar pata hoti mujhe uski chaale to main kyu zakhmi hota?
Isse Zyada Teri Baato Mein
Isse zyada teri baato mein zeher kya hoga?
Zindagi jee lo mere bin keh gaya tu hath jhatak ke,
Dekhna hai bewafai ka aur qahar kya hoga?
Yaha bade adab se log tujhe bulate hai,
Teri asliyat ka koi shehar kya hoga?
Ki doori ka khanzar to maar diya tune,
Meri mohabbat pak, dil saaf, phir teri nandaniyan maaf,
Samundar mein milne se pehle nahi sochti, neher kya hoga?
Kyu aas barkaraar hai, tere aane ki musalsal,
Jhooti ummedo ka aur wahem kya hoga?
Kayi hunarbaaz hakeem bebas, mayoos ho laute ,
Aur dar-badar ki maine dawai leli ‘Abhishek’,
Ab unpe bhi is gehri chowt ka marham kya hoga?
Dil Kaise Dafnaye
Tu hi tu hai ab aur kaha jaye,
Gham mein gham hai, kaise dikhaye,
Tune munasib samjha roothna mujhse,
Hui zindagi be-rang,kaise sajaye,
Aur jo dafan ho chuka dil teri yaado mein kahi ‘Abhishek’,
Mitti mein jism to dafna bhi de, dil kaise dafnaye.
Must Read