Pyar Wali Shayari – Top 10 Pyar Wali Shayari Love

Pyar Wali Shayari
Pyar Wali Shayari

Kajal Ki Dhaar

Pyar Wali Shayari

Ye bhi alag kirdar bana baiti hai,

Apni aankho ko hathiyar bana baithi hai,

Had to ye h ki,

Faqat aankho se ghayal the hum ‘Abhishek’,

Ab jane kya hoga wo aaj,

Kajal ki dhaar laga baithi hai.


Sajawat Main Karunga

Pyar Wali Shayari

Ab teri hifazat main kaunga,

Jo tera nahi,

Usse khilafat main karunga,

Aa zara tu mujh gareeb ki basti mein ‘Abhishek’,

Ameero se zyada,

Sajawat main karunga,

Sir jhuka dunga,

Jo chahe saza dena,

Daag ye laga ki,

Tujhse bagawaat main karunga.


Lakh Majbooriya Sahi

Pyar Wali Shayari

Lakh majbooriya sahi,

Par wo milne aayegi,

Wo jaan hi to jaan hai,

Dhadakne aayegi,

Ladegi aake mulqaato mein deri rahi h,

Ruthegi khud aur mujhe manayegi,

Khawbo mein rehkar usne,

Humari tasveer banadi nayi,

Aankho mein qaid,

Wo tasveer dikhane aayegi,

Aur lagna gale se uske jannat hi to hai,

Sukoon aaj rooh ko,

Wo dilane aayegi,

Mera koi nahi ye taane bhi sune hai maine,

Bas kuch der aur

Mera koi nahi,

ye taane bhi sune hai maine ‘Abhishek’,

Wo sabko ko jalane aayegi.


Use Dekhne Uski Gali Mein

Pyar Wali Shayari

Use dekhne uski gali mein jate hai to,

harz kya hai,

Ek deewane ki deewani ka aur,

farz kya hai,

Na khana, na pina, na sona, bas use sochna,

Na khana, na pina, na sona, bas use sochna,

Aankhe dekh k yaar bhi puchte hai,

marz kya hai?

Humare darmiyaan abhi,

Itni nazdikiyan bhi nahi,

Dil ki zidd hai, wo bhi wo ho, aur kuch nahi,

Yahi uljhan suljhane jate hai,

aakhir ye karz kya hai,

Use dekhne uski gali mein jate hai

to ‘Abhishek’ harz kya hai.


Usne Uske Dil Ka

Pyar Wali Shayari

Usne uske dil ka mujhe,

Malik bana rakha hai,

Ek se ek bada kamra,

Kona-kona dikha rakha hai,

Jaha marzi hoti hai,

So jata hu,

Jaag jata hu,

Mujhe sab haq hai,

Koi pareshan na karde mujhe isliye,

Pehredari pe usne,

Aankho ko baitha rakha hai,

Wo dil ki dhadkan se sab baya kar jati hai,

Aur main har baat samajh leta hu,

Ye bhi la-jawab usne,

Hunar sikha rakha hai,

Wo roz, har dhang se mujhe aur behtar kar deti hai,

Na jane kon sa rang uski,

Dabbi mein ghula rakha h,

Ek lamha bhi gawara nahi mere ghamo ka usko,

Lambi qataro mein,

Khushiyo ko bula rakha hai,

Aaj ek alfaaz mere khilaf utha diya kisi ne,

Laakh samajya par usne pure shehar mein,

Kohraam macha rakha hai,

Ek yahi hai jisne palko pe sajake,

Palke nahi jhapki ‘Abhishek’,

Logo ne to mujhe,

Lafzo mein gira rakha hai.


Chal Roshni Kare

Pyar Wali Shayari

Chal roshni kare kahi,

Andheri raaho mein,

Ladte-ladte pyar kare,

Phir baato-baato mein,

Ye jo tarika seekh liya hai,

Tune door rehne ka ‘Abhishek’,

Meri kasam tujhe bhool ja,

Ise aati-jati raato mein,

Udhar tu dua kar mujhe pane ki,

Idhar main dua karu,

Mera koi gawah ni aur gunehgar bewajah ka,

Khair, maaf mujhe karde,

Dhal jaunga tere saancho mein,

Udhar tu khuda se ro ke lad,

Idhar main siskata rahu,

Lakeerein kismat ki sir jhukaye,

Aisa macha ho shor apne hatho mein.


Mujhse Door Bahut Hai

Pyar Wali Shayari

Main kabhi Chand dehkta hu,

Kabhi wo dikh jati hai,

Dono ek jaise hai khoobsurat,

Masoom se ‘Abhishek’,

Par dekho mujhse door bahut hai.


Kaash Uske Chehre Pe

Pyar Wali Shayari

Kaash uski khawaisho ko pura karne mein,

Zindagi beet jaye,

To phir kahi jake,

Sukoon ki neend aaye,

Ye haq bas, ek bas, ek baar de de khuda aur kuch nahi,

Use har hasi mein,

Meri wajah nazar aaye,

Ek makan mohabbat ka ho aur ek dukan choti si,

Faqat itna ho gar,

To halatein sanwar jaye,

Uski raunako ke kai charche sune h,

Jugnuo se maine ‘Abhishek’,

Kaash uske chehre pe,

Meri shaame guzar jaye.


Main Khidki Se Jhakti Thi

Pyar Wali Shayari

Main khidki se jhakti thi,

To wo raah pe khada rehta tha,

Ajeeb sa pagal tha,

Jo zidd pe ada rehta tha,

Jaise mera usse koi janmo ka nata ho,

Nighaho se mere dil pe,

Haq jatata rehta tha,

Ladkiyo ke pairo wali zanjeer,

Mere pairo mein bhi thi zamane ki,

Warna mera dil to,

Uske dil se mila rehta tha,

Jalan itni logo mein,

Mano uski jaan lele,

Har kisi ne nishana laga rakha tha,

Kaanp jati hu ye sochkar,

Wo salamat to hai,

wo sacche ishq wala,

Marne se kab dara rehta tha?

Halat nazuk hai meri uske deed ki talab,

Had se bad gayi,

Khuda ‘Abhishek’ se kehna,

Us ladki ko bhi,

Tumhara nasha rehta tha.


Ghar Se Badi Door

Pyar Wali Shayari

Ghar se badi door hai thikana unka,

Phir bhi dekh ke aata hu unhe,

Hu deewana unka,

Koi aur kitni bhi haseen hogi,

jo hogi,

so hogi,

hone do,

Haye! masoomiyat,

Uff! palke jhukana unka,

Hai sukoon kitna unke lafzo mein,

Baya karna na-mumkin hai ‘Abhishek’,

Wo pagal,

Wo jhalla,

Kehke bulana unka.


Must Read

https://en.wikipedia.org/wiki/Love

Spread the love

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *