Table of Contents
Very Sad 2 line Shayari
Dono Rote Hai
Khizayein hi pass bulati hai mujhe ‘Abhishek’,
Dono baith kar phir bhut der tak rote hai.
Bedhadak Ghus Jate The
Dabe paun nikalna padta hai, uski ki gali se ab ‘Abhishek’,
Waqt ye bhi tha uske ghar mein, bedhadak ghus jate the.
Use Dard Na Ho
Dard ko bhi main badi tehzeeb se, dard se likhta hu ‘Abhishek’,
Use likhe dard mein dard na dikha, to kahi use dard na ho.
Barish Mein Panah Di
Jis parinde ko maine barish mein panah di ‘Abhishek’,
Mausam saaf hote hi wo dushman ke ghar ja baitha.
Dil Tujhe Maar Dunga
Main dil tujhe maar dunga,
Har waqt us ‘Abhishek’ bewafa ka himayati na bana kar.
Apnapan Dekh Kar
Tadap, bechaini, mayoosi, gham,
udasi aur aise sache kai dost hai mere,
Kabhi-kabhi to bahut ro deta hu ‘Abhishek’,
inka itna apnapan dekhkar.
Itni Akad Mat Dikha
Itni akad mat dikha aye paid,
Mausam badlega log khud ke liye tujhe jalayenge.
Nashe Ka Karz
Nashe ka karz, teri yaado ki udhari,
Chukane ke liye keemat zindagi lagegi humari.
Wo Qayamat Na Laye
Wo qayamat na laye to kare bhi kya ‘Abhishek’,
Jiska pyar, uske samne, kisi aur ka ho raha ho.
Dafna Dena Ise
Main Toota dil de aaya use ye kehke ‘Abhishek’,
Ya marammat, ya dafna dena ise.
Masoomiyat Ke Peeche
Wadakhilafi bhi kar lete ho, kamal hai ‘Abhishek’,
Ye hunar bhi chupa rakha hai,
tumne masoomiyat ke peeche.
Maut Ki Neend Tak
Use apna banana ek aisa sapna tha ‘Abhishek’,
Jo Maut ki neend tak pura na hua.
Teri Mehfil Se Nikal Jau
Isse pehle ‘Abhishek’ main toot ke bikhar jau,
Behtar yahi hai teri mehfil se nikal jau.
Aansu Pochte Huye
Nazdeeki nahi to nazarandazi bhi mat de ‘Abhishek’,
Hath thak jate aansu pochte huye.
Zindagi Bikher Di
Meri kahani ek paid k patto pe likhi jaisi thi ‘Abhishek’,
Kisi hawa ke jhoke ne zindagi bikher di.
Parindo Ko Bhi
Parindo ko bhi ghar se uda dete h log ‘Abhishek’,
Wahem chod de tujhe koi palko pe bithayega.
Uske Dil Mein
Jaise zara sa qatra tair jata h pani mein ‘Abhishek’,
Aar itna bhi pyar hota uske dil mein, to laut aata.
Jhooti Tasaslli Kya Dete
Rooh ko jalan hui jab tujhe kisi aur ke sath dekha ‘Abhishek’,
Tu bata khud ko jhooti tasaslli kya dete.
Kya Roya Tha Wo
Bas ek pal, ek pal jab usne thehar ke mujhse baat ki ‘Abhishek’,
Kya roya tha wo,
Mujhe kareeb se janne ke baad.
Shayari Ke Hawale Se
Shayari ke hawale se mujhe, kehne bhi do ‘Abhishek’,
Log bhi wah wah kar dege, mera dil bhi halka ho jayega.
Ashq Aankho Mein Liye
Ashq aankho mein liye use chohdte chale aaye ‘Abhishek’,
Ye majbooriyan jo karale so kam hai.
Masroof To Khair
Masroof to khair sabhi hai ‘Abhishek’,
Waqt nikal ke aa jata wo agar use mulaqat ki talab hoti.
Jagta Na Ho
Ta-umr na soye hum is khushfemi mein ‘Abhishek’,
Bichad k humse wo kahi raato ko,
Rota hua,
Jagta na ho.
Wo Aaye Nahi
Suna tha kal wo apne sabhi dosto se milne aaye,
Ghar to mera bhi wahi tha wo aaye nahi.
Must Read